Raat Kali Ek Khwaab Mein Aai Lyrics, sung by Sanam. The Original song lyrics in Hindi written by Majrooh Sultanpuri & sung by Kishore Kumar.
Song Details
Song: Raat Kali Ek Khwab Men Aai
Artist: SANAM
Music Rearranger SANAM
Original Artist Kishore Kumar
Original Music Rearranger R.D. Burman
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Raat Kali Ek Khwaab Mein Aai Lyrics
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi
Aur gale ka haar huyi
Subah ko jab hum neend se jaage
Aankh tumhi se chaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi
Aur gale ka haar huyi
Chaahe kaho isse meri mohabbat
Chaahe hansee mein udaa do
Ye kya hua mujhe mujhko khabar nahin
Ho sake, tum hi bataa do
Chaahe kaho isse meri mohabbat
Chaahe hansee mein udaa do
Ye kya hua mujhe mujhko khabar nahin
Ho sake, tum hi bataa do
Tum ne qadam toh rakha zameen par
Seene mein kyon jhankaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi
Aur gale ka haar huyi
Aankhon mein kaajal aur laton mein
Kaali ghataa ka baseraa
Saanvali soorat mohni moorat
Saavan ruth ka saveraa
Aankhon mein kaajal aur laton mein
Kaali ghataa ka baseraa
Saanvali soorat mohni moorat
Saavan ruth ka saveraa
Jabse ye mukhdaa dil me khila hai
Duniyaa meri gulzaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi
Aur gale ka haar huyi
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Subah ko jab hum neend se jaage
Aankh tumhi se chaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Music Video Of Raat Kali Ek Khwaab Mein Aai Lyrics
[crp]

