Melancholy Lyrics (Intro) by Talha Anjum from the “Open Letter” album is a newly released Hindi Rap (Hip-Hop) song music also given by Umair. The latest song Melancholy lyrics is written by Talha Anjum.
Melancholy Song Details:
Song: | Melancholy |
Album: | Open Letter |
Singer(s): | Talha Anjum |
Musician(s): | Umair |
Written by: | Talha Anjum |
Label(©): | Talha Anjum |
Melancholy Lyrics
Yeah, yeah
It’s your boy
Let it run
Iss jamm-e-ghafeer mein meri wafaon ke laaik koi tha hi nahi
Dastakein di bahut, dil ka dar khula hi nahi
Dil mein dar tha, woh hi hua ki tu mila hi nahi
I’m looking for reasons, ab baaqi koi wajah hi nahi
Tu hasta nahi toh kabhi dard se muskura hi sahi
Koi rasta nahi toh khud se rasta koi bana toh sahi
Meri wafadaar kya iss poore jahan mein khaak hi rahi?
Ke jaanam, tere baad teri mehek jo usse aati rahi
Abhi toh ho woh shaam ke dil pe bhaari panna ho
Ya khule jo aankh toh tum na ho, hum na ho
Aur baaqi hain humaare beech agar sirf faasle
Toh karo ummid ki kisi safar se doori kam na ho
Yeh kaisi hai kashmakash? Tu kuch toh keh
Tere hi intzaar mein diye jo jal ke bujhte rahe
See, now I’m a changed man
Do waade nahi karunga tujhse main
Tu rahi na khush jo mujhse, khud se nahi hoon khush bhi main
Ab ghoome dimaag, mitaaun woh chaar ash’aar main gusse mein
Ab nahi rahe woh yaar toh ehtiyaat karun khud se main
Aaqhiri mulaqat, phir kabhi na milunga tujhse main
Woh tera munh pherna aur mud ke chalna mustaqil
Kabhi bulandi tha, kabhi zameen-bose
Kabhi likhun hi nahi aur likhe toh diye kayi dil tod
Likhe geet kuch maine, jo logon ke zehen pe rakam kiye hain
Ab zakham dene waale se kya poochun, “Be kyun tune zakham diye hain?”
Damn