Desperation Lyrics by Talha Anjum from the “Open Letter” album is a newly released Hindi Rap (Hip-Hop) song music is also given by Umair. The latest song Desperation lyrics is written by Talha Anjum.
Desperation Song Details:
Song: | Desperation |
Album: | Open Letter |
Singer(s): | Talha Anjum |
Musician(s): | Umair |
Written by: | Talha Anjum |
Label(©): | Talha Anjum |
Desperation Lyrics
Soch mein tu khoe hue
Jhuth tu na bol sake
Sach kabhi chupe na
Tu kal raat roe bhi thi
Tu toh thik se soe bhi nahi
Tere ashq motiyon se kam nahi
Tu apni keemat mujhse puch toh sahi, puch toh sahi
Tera saath anmol, tu tol ke bole phirbhi har baat anmol
See how I unfold, main dil ki baate iss kalam se zaahir karu
Main bin qaasim, inn sab ko raja daahir karu
Fake loug apne kamre se baahir karu
I got everything I need main bass vibe karu
Ab main type karu text aur phir bheju nahi
Tu mera aks hai main kaise tujhe dekhu nahi
Dil fareb tu, tujhse chaahe kyun qareebi?
Asal hiqmat hame dhoke khaakar hi mili thi
Teri meri yaari bemisaal hi rahi thi
Tere wisaal ke khayaal mai thi ghum abhi
Wehem tha mera ya guzar rahi thi tum abhi
Tum mera nasha mera high meri ecstasy
Ye loug nahi hai dost mere
I am invited everywhere ye sab host mere
You need to talk jab tu peele dou neet
Duniya se dur noise cancel karey so me
Meri duniya se sulah bhi ab nahi honi
Zindagi keemti lagi when I burried my homie
Kis tarah kahu ye kitni baat ye ajeeb
Sun liya sab jo tune kaha bhi nahi
Guzreh hai dil se tere, rahe tou nahi
Dil se bade khwaab, ham unse bade tou nahi, tou ro nahi
Ab darmeyaan aik ajab sa faasla hai
Tujhse umeed koi nai phir bhi tera aasra hai
Bohot sawaal hai par pehle ye batao ke
Dast-e-saaqi aaj iss tarah kyun kaanp raha hai
Main baitha hu bedili ke bazaar mai
Koi rahageer jo hamare gham ye batjaaye
Mujhe teri laparwaahi pe hairaangi hai
Koi kaise aik umar tere liye jaagta hai
Aashnaaye thi tere se aik zamane mai
Ab dil tijoori band waqt ke khazaane mai
Vo mujhse puchte hai kab meri rawaangi
Main kehta baaki aik bahaar mere aane mai
Fir mehek utheyga dil tere fikar na kar
Main tera apna mera ghairo mein zikar na kar
Bharosa khudpe jitna uska aadha mujhpe kar
Tujhse mukhlisi, tere muntazir
Kuch yaar dil se utrey kuch yaar tou baadshaah hai
I know a bunch of people ab bhi mujhse khaar khaaye
I know a lot of people jinke dil se dua aaye
Vo dua kare asar tabhi khada idhar
Dil se bade khwaab hai and it only kept getting bigger
Ab thik gharke saamne billboard pe boy
Thirty thousand feet upar tere soch se boy
Ye khuda ki nawaazishey meri zaat pe hoe
Main mukar hi nahi sakta iss baat se
Kitni raate kaali ki hai iss kala ke khaatir
Bade din lage hai uss raat se iss raat mai
Khuda merharbaan kisine ye beej boye
Khuda gawaah, giraaye gaye na rok paaye
Sharam saal khade unhe mout na aaye
Mujhe suney, kisey shayari ka shauq na aaye
Maut dekhi apni aankho se par khauf na aaye
We all die