Rozaana Lyrics by JalRaj is a newly released Hindi song with music is given by JalRaj. Rozaana song lyrics are written by JalRaj.
Rozaana Song Details:
Song: | Rozaana |
Singer(s): | JalRaj |
Musician(s): | JalRaj |
Written by: | JalRaj |
Label(©): | JalRaj |
Rozaana Lyrics
Gustaakh dil
Dheema pada hai aakhir
Kya sochta kya chahta hai zaahir
Kar de zaara
Ae dil yun na der kar
Naadan dil
Labb pe pade hain taale
Kaise kahein kitnaa isse sambhalein
Hum jee rahe
Hain bas tumhe dekh kar
Hoke yun hi besabar
Tanhaiyon mein raat bhar
Rozana
Dil ki deewaaron pe
Tere naam ke aage
Mera nam likhta hoon
Rozana
Kyun khamakhaa hi main
Takiye tale teri
Tasveer rakhta hoon
Bheege pade
Hain khwahishon ke baadal
Besudh khade
Manmaaniyo mein aakar
Roke huye
Har lafz ko honth par
Lamhein ginein
Ab ungliyon pe chupkar
Dhadkan meri
Bhi puchti hai aksarr
Gum hai kahan
Ae dil zaara shor kar
Hoke yun hi bekhabar
Khaamoshiyon mein raat bhar
Rozana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aage
Mera naam likhtaa hoon
Rozana
Kyun khamaakha hi main
Takiye tale teri
Tasveer rakhtaa hoon
Rozana
Jab aaina dekhun
Tere liye hi to
Thoda sawartaa hoon
Rozana
Yun rubaroo hoke
Tere khayalon se
Har pal guzartaa hoon
Hoke yun hi befikar
Bechainiyon mein raat bhar
Rozana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aage
Mera naam likhtaa hoon
Rozana
Kyun khamaakha hi main
Takiye tale teri
Tasveer rakhtaa hoon
Rozana
Jab aainaa dekhun
Tere liye hi to
Thoda sawarta hoon
Rozana
Yun rubaroo hoke
Tere khayaalon se
Har pal guzarta hoon